रविवार, 3 अप्रैल 2011

Vishwa Vijeta Banne Per Badhai...

Bhartiya team ne Srilanka ko haraker vishwa cricket me apni baadshahat saabit ker di.
Bhartiya team aur her Bhartiya ko vishwa vijeta banne per badhai..
ANMOL

रविवार, 20 मार्च 2011

Akshar Gyan Baantkar,
Angadh Patthar Kohinoor Banaya.
Shikshit Nar Aur Nari Dekar,
Bharat Rashtra Ka Bhawisya Sajaya.
Ghor Andhkaar Me Deepak Bankar,
Aakhar Andho Ko Mag Dikhlaya.
Jivan Aanch Ki Agan Me Tapkar,
Tu Ek Mahan Guru Kahlaya..
Karim Pathan 'Anmol'

गुरुवार, 4 नवंबर 2010

Kisi Shama Ki Humne Roshni Nahi Dekhi,
Ashq Dekhe He Magar Aashiqie Nahi Dekhi.

Jo Zindagi Ko Zindagi Samajhti Ho,
Bahut Samay Se Wo Zindagi Nahi Dekhi.

Gair Ki Jeet Me Bhi Jo Shamil Raha Karti Thi,
Is Zamane Me Kabhi Wo Khushi Nahi Dekhi.

Laila-Majnu Ko Kabhi,Kabhi Meera Ko Hua Karti Thi,
Bahut Talasha Magar Wo Dillagi Nahi Dekhi.

Apne Sath Sath Jo Zamane Ka Haal Batlaaye,
Is Taknik Ki Duniya Me Wo Ghadi Nahi Dekhi.

Jo Ek Ghoont Me Sabhi Gamo Ko Pi Jaye,
Humne ANMOL Aisi Maykashi Nahi Dekhi..
KARIM PATHAN ''Anmol''

मंगलवार, 2 नवंबर 2010

Deepawali K Parv Ki Subhkaamnaye...

Sab Ichchhaye Puri Ho Is Deepo K Tyohar Me,
Khushiyo Se Na Doori Ho Is Deepo K Tyohar Me.

Maa Laxmi Her Bande Per Rahmat Barsaye,
Itna De K Her Ek Ki Jholi Bhar Jaye.
Kaarya-Siddhi Zaruri Ho Is Deepo K Tyohar Me,
Sab Ichchhaye Puri Ho Is Deepo K Tyohar Me..

Aapka Wo Sapna Ho Pura Jo Sabse ANMOL Ho,
Aapke Chehre Pe Ho Jo Raunak Na Uska Koi Mol Ho.
Na Koi Hasrat Adhuri Ho Is Deepo K Tyohar Me.
Sab Ichchhaye Puri Ho Is Deepo K Tyohar Me..
Karim Pathan ''Anmol''

शनिवार, 9 अक्टूबर 2010

Apne Halat Pdr- Meri Yah Gazal 'Sanchore K Kaviyon Ka Sahitya Me Yogdaan' Namak Ek Kitab Me Jald Hi Prakashit Hone Ja Rahi He..

Apne Halat Per Kuch Neer Bahana Chahta Hu,
Khud Ko Khud Hi Sahi Per Aazmana Chahta Hu.

Afsos, Aaj Na Mujhko Koi Samajh Paya,
Samay K Sath Me Khud Ko Dikhana Chahta Hu.

Doob Jayengi Kashtiya Jo Mallah Na Sambhle,
Mai In Doobti Kashtiyo Ko Bachana Chahta Hu.

Khada Hu Aaj Mai Zindagi K Doraahe Per,
Pakadne Hath Manzil Ka Us Paar Jana Chahta Hu.

Badi Hairat He ANMOL Mujhko Meri Halat Per,
Mai Gam Me Dooba Hu Per Auro Ko Hansana Chahta Hu..

शुक्रवार, 8 अक्टूबर 2010

Aansoo...

Jo Nikalte He Aankh Se Motiyo Ki Tarah,
Kabhi Khushi Me To Kabhi Gam Me Chhalak Jate He.
Kora Pani He Lekin Na Jane Kyu Isko,
Log Sadiyo Se Aansu Kahker Bulate He..